Ek baar dekh le bin tere mera kya haal hai
Lipat Kar apni Tanhai Se Jaagta Rehta Hoon Main,Tamam Raat Teri Yaad Mujhe Sone Nahi Deti,
Dekh le, Bin tere mera kya haal hai
Bhid me tanha tanha rahta hu,
Tanha rahkar tanhayi me tujhe dekhta hu
Dekh le, Bin tere mera kya haal hai
Sochta hu ki na sochu tujhe,
par har baar teri hi yaad aati hai.
Dekh le, Bin tere mera kya haal hai
Har lamha tujhe yaad karta hu
tere liye jeeta hu har pal main tadap tadap ke marta hu
Dekh le, Bin tere mera kya haal hai
Naa tum aa sake naa hum kabhi jaa sake
Naa dard dil ka ye haal kisi ko suna sake
Dekh le, Bin tere mera kya haal hai
bus baithe hai yaadon mein teri
naa tumne yaad kiya aur naa hum tumko bhula sake
Dekh le, Bin tere mera kya haal hai
No comments:
Post a Comment