ek ashiq ki mazburi to ek ashiq samjhta hai.
khone kya hota hai ye pane wala kya jaane.
dil ka dard to rone wala samjhta hai.
Tu mujh ko mil nahi sakti ,To main ji nahi sakta.
Jine ke liye saanso se ,ab tu jaruri hai.
Main us kasti main baitha hu jiska chalna hi mushkil hai ,
Kinaara mil nahi sakta,Ab doobna jaruri hai.
Tu mujh me yu samayi hai ki main khud ko bhoola baitha.
mere dil ki har tamanna me tu hi samayi hai.
Wo mujhe door hai lekin,mere dil me wo baithi hai,
main khud bhool gaya hu aur wo mujh me samayi hai.
main ishq me khud ko loota du ho nahi sakta,
Lootane ke liye khud,khud ka hona jaruri hai.